Tuesday, February 17, 2009

Zara zara!


Mujhe yaad hai ab bhi zara zara,
Tera husn dhata qayamatain,
Wo roop tera atisheen,
Har aan teri ahatain,
Na main bhool saka kuch zara,
Mujhe yaad hai sab zara zara,
Wo Khuda ki tujh pe nematain,
To sarapa jaise rehmatain,
Mera behkna or teri muzhamatain,
Nama main daman apna bacha saka,
Na tujh se he door ja saka,
Na main bhool saka kuch zara,
Mujhe yaad hai han!
Sab zara zara!



Atisheen = آتشیں = Ignescent

Muzhamatain = مزحمتیں = resist

2 Comments:

  1. Anonymous said...
    breath taking !!!
    I Zaydi said...
    My pleasure!

Post a Comment