Saturday, December 20, 2008

Chalo bhool he jatay hain,
tumhari bataon ko,
in be maqsad yadon ko,
beete lamhain hain saray,
bas bhool bhulaiyan jaise hain,
raste bhi gumnam hon jinke,
aur manzil benishan,
Chalo bhool he jatay hain,
band karlain ge hum raste saray,
ab ki bar na roain ge,
urh k kambal sard ruton main,
bati bujha k taan k lambi,
is bar bohat sa soain ge,
ik takaya he bhega ga na!
Chalo bhool he jatay hain!


Jab bhi tum se ,

boli hon,pehron khoi,

rehti hon,pochti hain ama jab,

sar jhatak k main apna,

hans zara sa deti hon,

kehti nahi hun kuch bhi main,

phr bhi aisa lagta hai,

jaise jante hun sab,

teray mere baray main,

jab samjh nahi ata,

dikh kar main chanda ko,

hans phr se deti hun,

jakar magar tanhai main,

dikh kar main hathon ko,

jane kiun ro parti hon??

Mere har bar hasnay pe,
tumhain lagta ye hai na k,
bin tumharay khush hal se hum,
bohat aram se hain rehtay,
par jana tum kia jano,
k is ik bar hasnay main,
najane kitnay alhar khuwab hum apne,
mar dete hain kuchal kar zaat phir inki,
inhain aise dafn karte hain k,
khud ko ronay nahin dete,
magar ye sab to hota dil main hai na!
Phr bhala yaqeen kiun kar aye tumhain,
ke mera dil he mar gaya hai,
MERE HAR BAR HASNAY PE!!




Mera har zakhum taza hai,
har ik nasoor zinda hai,or ye,
ye poochtay hain ke,
mohabbat kaisi hoti hai?
Ye jonk jaisi bhi hoti hai,
jo chimtay to ja'an-gusal rahay,
jo choray to ja'an adhori rahay,
jo utray ankhon main to,
wajh-e-fasana banay,
jo lab pe aye to,
ruswayi ka mojab banay,
charhay ye bhoot,sar par kaheen jo teray,
to asmanon pe tujh ko,lazawal urooj de,
aur patkhay zameen pe agar josh main,
to bigarti taqdeer tera muqadar banay,
naheen ye pata mujhe meri ja'an,
ke mohabbat hai kia kisi dikhti hai ye,
magar main janti hon itna faqat,
mohabbat meri aisi hai,
jo shoro 'meem' se yani 'mujh' se hoti hai,
aur khatam 'tee' pe yani 'tum' pe hoti hai,
bas,
MOHABBAT AISI HOTI HAI!


Aj barish ki,
Chum chum barasti bondain,
Zameen ki tashna labi ko,
Sairab kar rahi theen,
Main bhi waheen kaheen,
Puranay manzar purani yadain,
Wo totay sapnay wo bheegi ankhain,
Taman roz o sham ko bholay,
Mujasam khari thi,
Waheen jahan tan man,
Zameen ka barish bhigo rahi thi,
Dimagh mera tab ye bola,
K jo barish hoi thi shab main,
Tumharay dil par wo kia hoa?
Main chup thi ke wo phr se bola,
Nahi afaqa hoa na kuch tmko,
Tm sikho dil ki mitti ko phr,
Zinda karna ab is zameen se,
Ke jb barasti barish band hogi,
Ye sumo ke pani nai si hogi,
Phr se tashna dahani hogi,
To kaheen phr se,
BARISH ZAROOR HOGI!

Tuesday, December 2, 2008


Wo aya tha mere pass,
mjhe bs ye btanay ko,
ke taluq totnay ko hai,
k uski manzil badal gai hai,
ab k zarorat kisi or ki hai,
so rastay hoay ab juda hamary,
humsafri apni khatam hoi hai,
na roka main ne na usko toka,
us liye par chala main us ja,
jahan se 'Main' 'Wo' HUM banay thay,
wo hairan sa samnay khara oa tha,
ke mor ke rukh,
dosri simt ko barh gaya main,
na phr ruka main na palat k dikha,
wo taluq k totnay ka btanay wala,
shayd mjhe ab bi bula raha tha,
magar main ja chuka tha,
'Taluq k totnay ko bacha chuka tha'!


Dosti ab kahan,
Ke hai safar kathan mera,
Tumhain to hai pata,
Hain raston main ablay,
Or manzil hai be-nisha'n,
Main saath kaise nibhaon ga?,
Main pas tak na jaon ga,
Na uske kam aonga,
Us bhi na bulaon ga,
Milonga usse dor se,
Phir waheen se laut aonga,
Ke hai safar kathan mera,
So dosti ab kahan....

' IN THE NAME OF FRIENDSHIP... '


;;